nirashaa ki atyadhik badari mae aashaa kaa ravi vilupt ho raha hae
hridaya kaa dheer aashruyo kae neer mae skhalit ho raha hae
malieen cheraa peeda ki vednaa sae bojhil ho raha hae
swabhimaan ki bali dete-2 nayan rudanheen ho raha hae
ek aasha thi ki smaya punah aayegaa
wo aanandterek hridaya phir gungunayegaa
wo karnyapriyae sambodhan punah umag jagayegaa
wo itlaati hassi sae tan man punah harsolaasit ho jayegaa
samaya aaya par satya kaa darpan sang laaya
aanadterek hridaya gungunaya vedanaa sae
karnyapriyae sambodhan apradhbodh kaa
itlaatii hasi vyang baado sae
aantatah smaran aaya ashaa kaa pradurbhaav nirashaa mae :( yahi hae .